Karbala by Mir Babar Ali Anees
1803-1874.
Jab qata ki masafat e shab aaftaab ne
Jalwa kiya sahar ke rukhe behijaab ne
Dekha suwe falaq Shahe gardoon rakaab ne
Mudh kar sada rafeeqo ko di us janaab ne
Aakhir hai raat hamd o sanaye Khuda karo
Utho fareezaye sahri ko ada karo
Haan ghaaziyon ye din hai jidaal o qitaal ka
Yaan khoon bahega aaj Mohammad ki aal ka
Chehra khushi se surkh hai Zahra ke laal ka
Guzri shabe firaaq din aaya visaal ka
Hum wo hain gham karenge malak jin ke waastey
Raatein tadap ke kaati hai is din ke waastey
Ye sunke bistaron se uthe wo Khuda shinaas
Ek ek ne zebe jism kiya fakhira libaas
Shane muhasino mein kiye sab ne be hiraas
Baandhe amame aaye imame zaman ke paas
Rangeen abaayein dosh pe kamre kasey huwe
Muskh o zibaad o itr mein kapde basey huwe
Khaime se nikle Shay ke azeezaane khush khisaal
Jin mein kayi thay Hazrate Khairun nisa ke laal
Qasim sa gul badan Ali Akbar sa khush jamaal
Ek jaa Aqeel o Muslim o Jafar ke nau nihaal
Sab ke rukhon ka noor sipahre bareen pa tha
Athara aaftaabon ka ghuncha zameen pa tha
Nagaah charkh par khate abyaz huwa ayaan
Tashreef jaanemaaz pe laaye Shahe zamaan
Sajjade bich gaye aqabe Shahe ins o jaan
Saute Hasan se Akbar e Mahrooh ne di azaan
Har ek ki chashm aansuon se dab daba gayi
Goya sada Rasool ki kaano mein aagayi
Namoose Shaah rotey thay khaime mein zaar zaar
Chupke khadi thi sahn mein bano e naamdaar
Zainab balayein leke ye kahti thi baar baar
Sadqe namaziyoon ke muazzin ke main nisaar
Karte hain yoon sana o sifat Zul Jalaal ki
Logon azaan suno meri yousuf jamaal ki
Ye husn e saut aur ye qirat ye shad o madd
Haqqa ke afsahul fusuha thay inhi ke jadd
Goya hai lahn e Hazrat e Dawoode ba khiradd
Ya Rabb rakh is sada ko zamane mein taa abadd
Shu’be sada mein pankhadiyaan jaise phool mein
Bul bul chahak raha hai riyaaz e Rasool mein
Saf mein huwa jo naraye qad qaamatis salaat
Qaim huwi namaaz uthey Shahe qainaat
Wo noor ki safein wo musalli falak sifaat
Sardaar ke qadam ke taley thi rahe nijaat
Jalwa tha ta ba arshe mu’alla Hussain ka
Mus haf ki lauh thi ke musalla Hussain ka
No comments:
Post a Comment